Sajania By Ali Zafar
sun re sajania tere sang dunia.......
sun re sajania tere sang dunia aaise jaise har su bahar hai
jeeya nahin jaye re tere bin haye re tumse hi humko pyaar hai
oh soocha kya kabhi ye tune,ke main tera kaun hon,
kabhi tune ye soocha kya ke tu meri kaun hai.
meri dunia main teri tasweer hai bani,
teri dunia main meri kabhi bhi na thi kami.
sab ko bataye re humse chupaye re, aisa karna bekaar hai
jeeya nahin jaye re humein tarpaye re kyon itna inkaar hai.
sun re sajania …….
kab se kya hai kyon hai kaise , ye pata na tha na hai
per ye jane hum ke tumse zindagi ka naata hai,
humne jo kaha woh tumne sun ke bhi nahin suna,
per ye tera na sunana bhi kyon hai, hum ko hai pata
humein azameye re ,samajh na aye re aisa karna hi toh pyaar hai
jeeya nahin jaye re tere liye gaye re tumse hi humko pyaar hai
sun re sajania tere sang dunia aaise jaise har su bahar hai
jeeya nahin jaye re tere bin haye re tumse hi humko pyaar hai