Wednesday, February 14, 2007

RAIL MAP OF MUMBAI


Ghum Hai Kisi Ke Pyaar Mein

Hindi Song Title: Ghum Hai Kisi Ke Pyaar MeinHindi Movie/Album Name: RAAMPUR KA LAKSHMAN Singer(s): LATA MANGESHKAR, KISHORE KUMAR

Hmm hm hm hmm hmm hmmHaan, kya kahaa?Ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaamPar tumhe likh nahin paaon main uska naamHaaye raam, haaye ramKuchh likhaa?HaanKyaa likhaa? Ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaamPar tumhe likh nahin paaon main uska naamHaaye raam, haaye raamAchchhaa, aage kyaa likhoon?Aage? Socha hai ek din main use milkeKeh daalon apne sab haal din keAur kardoon jeevan uske hawalePhir chhod de chaahe apna bana leMain to uska re hua deewanaAb to jaisa bhi mera ho anjaamHo ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaamPar tumhe likh nahin paaon main uska naamHaaye raam, haaye raamLikh liyaa?HaanZaraa padhake to sunaao naChaaha hai tumne jis baawri ko Woh bhi sajanwa chaahe tumhi koNaina uthaae to pyaar samjho Palken jhukaa de to ikraar samjhoRakhti hai kabse chupa chupa ke Kyaa?Apne hoton mein piya tera naamHo ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaamPar tumhe likh nahin paaon main uska naamHo ghum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaamPar tumhe likh nahin paaon main uska naamHaaye raam, haaye raam

Thursday, February 8, 2007

Tere bin main yun kaise jiya


Atif Aslam



Tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
lekar yaad teri raaten meri kati - 2
mujhse baaten teri karti hai chaandani
tanha hai tujh bin raaten meri
din mere din ke jaise nahi
tanha badan tanha hai ruh nam meri aankhen rahe
aaja mere ab rubaru
jeena nahi bin tere
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
tere bin main yun kaise jiya
[ Lyrics found on http://www.metrolyrics.com ]

kaise jiya tere bin

kabse aankhen meri raah mein tere bichhi - 2
bhule se hi kahi tu mil jaaye kahin
bhule na mujhse baaten teri
bheegi hai har pal aankhen meri
kyun saans loon kyun main jiyu
jeena bura sa lage
kyun ho gaya tu bewafaaa mujhko bata de wajah
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin ...
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin

Wednesday, February 7, 2007

Zubin Ya Ali Reham Ali Lyrics


ya ali reham ali ya ali yaar pe qurbaan hai sabhi
ya ali madad ali ya ali yeh meri jaan yeh meri zindagi
ishq pe mita doon luta doon main apani khudi
yaar pe haan luta doon mita doon main yeh hasti
ya ali reham ali ya ali yaar pe qurbaan hai sabhi
ya ali madad ali ya ali yeh meri jaan yeh meri zindagi
mujhe kuchh pal de qurbat ke fakir hum teri chahat ke
rahe bechain dil kab tak milen kuchh pal toh raahat ke
chahat pe ishq pe haa mita doon luta doon main apani khudi
yaar pe ha luta doon mita doon main yeh hasti
ya ali reham ali ya ali yaar pe qurbaan hai sabhi
ya ali madad ali ya ali yeh meri jaan yeh meri zindagi
bina tere na ek pal ho na bin tere kabhi kal ho
yeh dil ban jaaye pathhar ka na ismein koi hulchul ho
sanam pe ha ishq pe ha mita doon luta doon main apani khudi
kasam se ha luta doon mita doon main yeh hastii
ya ali reham ali ya ali yaar pe qurbaan hai sabhi
ya ali madad ali ya ali yeh meri jaan yeh meri zindagi

Monday, February 5, 2007

Jo Beet Gayi

Jo Beet Gayi - Harivansh Rai Bachchan

Jeevan Main Ek Sitara Tha
Maana Vah Behad Pyara Tha
Vah Doob Gaya To Doob Gaya
Ambar Kay Aanan Ko Dekho
Kitne Iskay Taare Toote
Kitne Iskay Pyare Choote
Jo Choot Gaye Fir Kahan Mile
Par Bolo Toote Taaron Par
Kab Ambar Shok Manata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi

Jeevan Main Vah Tha Ek Kusum
They Us Par Nitya Nichavar Tum
Vah Sookh Gaya TO Sookh Gaya
Madhuvan Ki Chaati Ko Dekho
Sookhi Kitni Iski Kaliyan
Murjhaayi Kitni ballriyan
Jo Murjhayi Woh Fir Kahan Khili
Par Bolo Sookhe Phoolon Par
Kab Madhuban Shor Machata hai
Jo Beet Gayi So Bat Gayi

jeevan Main Madhu Ka Pyala Tha
Tumnay Tan Man De Daala Tha
Wah Toot Gaya To Toot Gaya
Madiralya Kay Aangan Ko Dekho
Kitne Pyale Hil Jaate Hain
Gir Mitti Main Mil Jaate Hain
Jo Girte Hain Kab Uthte Hain
Par Bolo Toote Pyalo Par
Kab Madiralaya Pachtata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi

Mridu Mitti Kay Hain Bane Hue
Madhu Ghoot Phoota Hi Kartay Hain
Laghu Jeevan Lekar Aaye Hain
Pyale Toota Hi Karte Hain
Fir Bhi Madiralaya Kay Andar
Madhu Kay Ghat Hai Madhu Pyale Hain
Jo Madakta Kay Maare Hain
Vey Madhu Loota Hi Kartay Hain
Va Kachcha Peene Wala Hai
Jiski Mamta Ghat Pyalon Par
Jo Sachchey Madhu Sey Jala Hua
Kab Rota Hai Chillata Hai
Jo Beet Gayi So Baat Gayi